🐟
Nahin chahta koi doob jaana magar,
Lahron se takra ke saahil toot jaate hain.
Door-door ki dosti behtar hi hai, suno,
Zyada qareeb aaye to dil toot jaate hain.
🪑
Kahin pe dhoop ki chaadar bichha ke baith gaye,
Kahin pe shaam sirhaane laga ke baith gaye.
Jale jo ret mein talve to humne ye dekha,
Bahut-se log wahin chhatpata ke baith gaye.
— Dushyant Kumar
📷 (in 2016) by @satyajeetdubey
🐝
Bane pujaari premi saaki,
Gangaajal paavan haala,
Rahe pherata avirat gati se
Madhu ke pyaalon ki maala.
“Aur liye ja, aur piye ja,”
Isi mantra ka jaap kare,
Main Shiv ki pratima ban baithoon,
Mandir ho yeh madhushaala.
- Dr. Harivansh Rai Bachchan (Madhushala)
🚶♂️
“Main aksar zaroori saamaan ki fehriston mein gina gaya,
Ahl-e-istemaal jo the, unke rishton mein gina gaya.”
.
.
.
.
Translation: (I was often counted among lists of essential items; among people who know only how to use, I was counted as a relationship.)
🗓️
aur jis kshan tumhein mehsoos hoga
ki ho chuka hai sab tahas–nahas,
nahin bacha ab kuchh bhi bachane ko.
tab bhi bacha rahega tumhara “aaj”
is sansaar mein tumhara “kal” bachane ko. - @__.aaina.__ (Jaana Zaroori Hai Kya!)
👀
aankhein toh teri hain aage, peechhe kyon dekh ke bhaage?
जो होना था सो हो चुका, जो खोना था खो चुका।
आगे देख, आगे बढ़, जितना रोना था तू रो चुका।
portraits by @aaaddiiiiiii
👟
hum dono pairoñ se ek saath
kabhi nahin baḍhte.
ek paañv ke uṭte hi
wahaan ki zameen chhuṭti hai
aur doosra paañv ye dekhta hai
hichkichata hai
par pehle ka sahaara lekar
vo bhi chhoḍta hai apni zameen
ek bharose ke saath.
is tarah ek bharosa
badal jaata hai — ek qadam mein.
phir vo ‘ek qadam’ badalta hai
saikdoñ meeloñ ki doori mein
un saari sambhaavanaaoñ ko poora karta
jo pehle qadam ki
hichkichahat mein chhupi thii.
bharosa daudna seekh jaata hai.
aadmi ke itihaas ki
sabse baḍi uplabdhi thi
wo ‘pehla qadam’ uṭhaana.
📝 @i_neerajpandey (door aasmaan mein…)